ALLAH-TA'AALA KI 15 REHMATAIN

  • Mah-A-Ramzanul Mubarak May ALLAH-TA'AALA Apne Rozadaron Per 15 Rehmatain Nazil Farmata Hain-
    (1)Rizk Zyada Hota Hain,
    (2)Maal Wa Zer May Zyadati Hoti Hain,
    (3)Jo Khana Khaya Jata Hain Sab Ibadat May Likha Jata Hain,
    (4)Kul Aamaal-A-Nek Ka Azr Dugna Hojata Hain,
    (5)Kul Farishte Zameen Wa Aasmaan Ke Rozadar Keliye Bakshish Maangte Hain,
    (6)Shayateen Bandh Kiye Jate Hain,
    (7)Rehmat Ke Darwaze Khushada Hote Hain,
    (8)Jannat Ke Darwaze Khol Diye Jate Hain, Aur Dozak Ke Darwaze Bandh Kiye Jate Hain,
    (9)Har Raat May 7 Lakh Gunahgar Dozak Se Aazaad Kiye Jate Hain,
    (10)Har Juma Ki Raat May Is Qadr Dozaki Dozak Se Aazad Hote Hain Jitne 7 Din May Aazaad Hote Hain Yani 49 Lakh,
    11)Aakhari Raat Ramzaan Ko Tamaam Gunah Logon Ke Bakshe Jate Hain,
    (12)Har Roz Bahisht Ko Aaraasta Kiya Jata Hain,
    (13)Rozadaron Ki Duayen Kabul Hoti Hain,
    (14)Rozadaron Ko ALLAH-TA'AALA Ki Khushnudi Haasil Hoti Hain,
    (15)Rozadaron Ko ALLAH-TA'AALA Ka Didaar Nasib Hota Hain!
    (Ba-Hawala Munakib Mohammadi)

0 comments:

Post a Comment